jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta

jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta
mujhe pamal raston ka safar achchha nahin lagta

ghalat baaton ko khamoshi se sunna hami bhar lena
bahut hain faede is mein magar achchha nahin lagta

mujhe dushman se bhi khuddari ki ummid rahti hai
kisi ka bhi ho sar qadmon mein sar achchha nahin lagta

bulandi par unhen mitti ki khushbu tak nahin aati
ye wo shakhen hain jin ko ab shajar achchha nahin lagta

ye kyun baqi rahe aatish-zano ye bhi jala dalo
ki sab be-ghar hon aur mera ho ghar achchha nahin lagta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close