jigar ke tukde hue jal ke dil kabab hua ye ishq jaan ko mere koi azab hua kiya jo qatl mujhe tum ne khub kaam kiya ki main azab se chhuta tumhein sawab hua kabhi to shefta us ne kaha kabhi shaida gharaz ki roz naya ek mujhe khitab hua piyun na rashk se khun kyunki dam-ba-dam apna ki sath ghair ke wo aaj ham-sharab hua tumhaare lab ke lab-e-jam ne liye bose lab apne kata kiya main na kaamyab hua gali gali teri khatir phira ba-chashm-e-pur-ab laga ke tujh se dil apna bahut kharab hua teri gali mein bahae phire hai sail-e-sarishk hamara kasa-e-sar kya hua habab hua jawab-e-khat ke na likhne se ye hua malum ki aaj se hamein ai nama-bar jawab hua mangai thi teri taswir dil ki taskin ko mujhe to dekhte hi aur iztirab hua sitam tumhaare bahut aur din hisab ka ek mujhe hai soch ye hi kis tarah hisab hua 'zafar' badal ke radif aur tu ghazal wo suna ki jis ka tujh se har ek sher intikhab hua