jina marna donon muhaal

jina marna donon muhaal
ishq bhi hai kya ji ka wabaal

mal-o-manal-o-jah-o-jalal
apni nazar mein wahm-o-khayal

hum na samajh pae ab tak
duniya ki shatranji chaal

kuchh to shah bhi tumhaari thi
warna dil ki aur ye majal

kis kis se hum nibtenge
ek hai jaan aur sau janjal

mast ko girne de saqi
han us ke shaer ko sambhaal

hum aur khauf-e-ruswai
naseh bhi karta hai kamal

un ki nazar se gir gaya jab
shisha-e-dil mein aaya baal

kuchh duniya ke kuchh dil ke
rog liye hain hum ne pal

saqi saghar bhar de jald
dhaal nigahon se bhi dhaal

umr to kya pai hai magar
guzre hain kuchh mah-o-sal

sab dil ki nadani hai
kaisa firaq aur kis ka visal

apni wafa bhi nirali hai
un ki jafa bhi be-timsal

ek nigah ki gardish ne
kya kya fitne diye hain uchhaal

'kaif'-e-hazin-o-khasta ki yaad
mumkin ho to dil se nikal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close