jina mujhe kaThin ho ki marna muhaal ho

jina mujhe kathin ho ki marna muhaal ho
ehsas-o-agahi ka magar kyun malal ho

har roz sochta hun nae taur se tumhein
mere liye tum ek anokha sawal ho

tha dard to dilon mein samaya hua tha main
hun pas hi to ab kise mera khayal ho

rahat ghamon ki aanch ho gham rahaton ki ruh
ye zist ho to mere liye kyun wabaal ho

wo kahkashan ki samt na dekhe to kya kare
jis ko teri gali se guzarna muhaal ho

girte hue darakht ki banhon se dur bhag
aaghosh-e-aftab mein jo kuchh bhi haal ho

sadiyon se kuchh wazahaten yun kar raha hai zehn
jaise ki aas-pas ki har shai sawal ho

is ghar ki chhat ka koi bharosa nahin hai 'soz'
in barishon mein dekhiye kya apna haal ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close