jinnon aazmana pada zindagi mein sabhi kuchh nibhana pada zindagi mein sahi jis pe baithe na sur-tal mere wo naghma bhi gana pada zindagi mein na dastar jae isi zid mein hum ko bahut kuchh ganwana pada zindagi mein jo bekar baaton pe ruthe the hum se unhen bhi manana pada zindagi mein mile hum ko kuchh log aise bhi jin se swayanm ko bachana pada zindagi mein wo gahrai mein kitne utre hain dil ki sabhi se chhupana pada zindagi mein rahe aise haalat bachpan se jin mein 'asar' khud kamana pada zindagi mein