jis din se haram ho gai hai

jis din se haram ho gai hai
mai khuld-maqam ho gai hai

qabu mein hai un ke wasl ka din
jab aae hain sham ho gai hai

uftad-e-chaman ye hai ki bulbul
khud hi tah-e-dam ho gai hai

tauba se ghati ye qadr-o-qimat
mai dam ke dam ho gai hai

aati hai qayamat us gali mein
pamal khiram ho gai hai

tauba se hamari botal achchhi
jab tuti hai jam ho gai hai

kuchh zahr na thi sharab-e-angur
kya chiz haram ho gai hai

lab tak jo kabhi na aae wo aah
unchi so baam ho gai hai

mai-nosh zarur hain wo na-ahl
jin par ye haram ho gai hai

bujh bujh ke jali thi qabr par shama
jal jal ke tamam ho gai hai

aa jae use jo aae mujh tak
maut un ka payam ho gai hai

har baat mein honth par hai dushnam
ab husn-e-kalam ho gai hai

sar kham hai haram mein su-e-taiba
kuchh khu-e-salam ho gai hai

daulat dil ki buto hai mahfuz
allah ke nam ho gai hai

phir phir ke nazar hui hai sadqe
jam kar khat-e-jam ho gai hai

hai dur abhi 'riyaz' manzil
din khatm hai sham ho gai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close