jis ko dekho wahi aawara-o-saudai hai

jis ko dekho wahi aawara-o-saudai hai
zindagi hai ki kisi dasht ki pahnai hai

shoala-e-gham ko rag-e-jaan mein kiya jazb to phir
har nazar surat-e-khurshid nazar aai hai

dub kar dil mein ubharti hai koi mauj-e-khayal
abr chhaya hai kabhi barq si lahrai hai

git ke rup mein paband bahaaron ki faza
chaman-e-dil mein mere aur nikhar aai hai

lazzat-e-ishq se bharpur gham-e-dil ki sada
parda-e-shab mein kai chand uda lai hai

shabnami aankh se dekho to chaman ki jaanib
sina-e-gul mein shararon ne numu pai hai

sochta hun ki zamane se nikal kar aage
phir wahi main hun wahi gosha-e-tanhai hai

apne hone ki haqiqat ka yaqin hai lekin
aankh kyun jalwa-e-hasti ki tamannai hai

ye ajab silsila-e-qaid-e-nazar hai ki 'nadim'
har nazar apni hi duniya ki tamashai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close