jis mein na KHushi ho wo mohabbat nahin achchhi

jis mein na khushi ho wo mohabbat nahin achchhi
kulfat se jo khali ho wo rahat nahin achchhi

kahta hai hasinon ki mohabbat nahin achchhi
aur naseh-e-kam-fahm ye aadat nahin achchhi

tum par jo na aa jae to wo dil nahin achchha
tum par jo na mail ho tabiat nahin achchhi

be-dil liye dete ho jo tum ghairon ko bose
nuqsan hai is mein ye murawwat nahin achchhi

dilwaen mujhe galiyan ghairon se sar-e-bazm
o shokh ye dar-parda shararat nahin achchhi

diwane nahin hum jo giraftar-e-bala hon
waqif hain ki in zulfon ki ulfat nahin achchhi

'sabir' ne sar-e-bazm jo chheda to wo bole
kambakht yahi to teri aadat nahin achchhi

'sabir' shajar-e-khushk se ummid-e-samar kya
jo faiz se khali ho wo khidmat nahin achchhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close