jis ne chhupa ke bhuk ko patthar mein rakh liya

jis ne chhupa ke bhuk ko patthar mein rakh liya
duniya ko is faqir ne thokar mein rakh liya

ahl-e-junun ko apne junun se wo ishq tha
dil ne jagah na di to use sar mein rakh liya

nanha koi parind uda jab to yun laga
himmat ne aasman ko shahpar mein rakh liya

aankhon ne aansuon ko ajab ehtimam se
moti bana ke dil ke samundar mein rakh liya

hum ne tumhaari did ke lamhe samet kar
phir se purane khwab ki chadar mein rakh liya

kya dar sama gaya ki hamare harif ne
tum jaise shahsawar ko lashkar mein rakh liya

kuchh baat thi jo hum ne sitaron ke darmiyan
un aansuon ko raat ke manzar mein rakh liya

aankhen thakin to dil ne sahaara diya 'fahim'
hum ne kisi ka aks nae ghar mein rakh liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close