jis raat bhi charagh-e-shab-e-gham raha hun main

jis raat bhi charagh-e-shab-e-gham raha hun main
us raat raushni mein bahut kam raha hun main

ghairon se dosti ko badhaya hai apna hath
khud kitna apne aap se barham raha hun main

khushbu dil-o-dimagh mein aur wo bhi is qadar
phulon ka ham-nashin to bahut kam raha hun main

ye shahr-e-jism-o-jaan meri pahchan ban gaya
is shahar mein agarche bahut kam raha hun main

kuchh phul hath par mere kuchh khar jism mein
'saulat' ye kis bahaar ka mausam raha hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close