jis samt nazar jae mela nazar aata hai har aadmi is par bhi tanha nazar aata hai sauda-e-dil-o-din ya sauda-e-dil-o-duniya aashiq ko to donon mein ghata nazar aata hai andhon ko tere ai husn ab mil gai binai ab ishq ka har jazba nanga nazar aata hai pasti se agar dekho nicha bhi hai kuchh uncha uncha bhi bulandi se nicha nazar aata hai kya shikwa taqqul ke khamosh tahayyur se jab apna tasawwur bhi gunga nazar aata hai ai naz-e-khud-arai de zarf ko pahnai ghutta hua qatre mein dariya nazar aata hai rahmat bhi teri shayad kuchh kan ki unchi hai insaf bhi tera kuchh andha nazar aata hai nalan hain 'jamil' apni aankhon se ki ab un ko suraj ka pujari bhi andha nazar aata hai