jis shajar par samar nahin hota us ko patthar ka dar nahin hota aankh mein bhi chamak nahin hoti jab wo pesh-e-nazar nahin hota mai-kade mein ye ek khubi hai naseha tera dar nahin hota ab to bazar bhi hain be-raunaq koi yusuf idhar nahin hota jo sadaf sahilon pe rah jae us mein koi guhar nahin hota aah to ab bhi dil se uthti hai lekin us mein asar nahin hota gham ke maron ka jo bhi maskan ho ghar to hota hai par nahin hota ahl-e-dil jo bhi kaam karte hain us mein shaitan ka shar nahin hota