jis shaKHs ne bhi khae hain sangin zaKHm-e-dil

jis shakhs ne bhi khae hain sangin zakhm-e-dil
dete usi ko hain yahan taskin zakhm-e-dil

be-rang ho gae hain gol-o-sabza-o-bahaar
lekin abhi talak hain ye rangin zakhm-e-dil

hans kar mazaq jab bhi udaya hai dard ka
tab tab laga ki ho gae ghamgin zakhm-e-dil

baithi hui thin takht pe khushiyan to that se
un ko hata ke ho gae aasin zakhm-e-dil

rukh hai udas ashk hain aankhon mein be-shumar
karne lage hain ishq ki tauhin zakhm-e-dil

main ne kaha hare hi rahen umr bhar 'ana'
kahne lage the jhat se hi aamin zakhm-e-dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close