jise tu ne samjha hai zindagi usi inqalab ka nam hai

jise tu ne samjha hai zindagi usi inqalab ka nam hai
kabhi din hua kabhi shab hui kabhi subh hai kabhi sham hai

tah-e-khak bhi dil-e-mubtala ko kabhi qarar na aaega
hun abhi se hashr ka muntazir ki nawed jalwa-e-am hai

koi hausla hai na muddaa koi aarzu hai na iltija
mere dil mein ek teri yaad hai mere lab pe ek tera nam hai

wahan wade hote hain aae din sar-e-sham khwab mein aaenge
yahan iztirab-e-tamam se meri shab ki nind haram hai

tu sharab de ki na de magar mere dil ko tod na saqiya
ki gharib baada-parast ka yahi shisha hai yahi jam hai

mere zauq-e-did ka ho bura kahan ja ke senke koi nazar
na tajalli-e-sar-e-rah-guzar na tajalli-e-sar-e-baam hai

meri qaid-e-zist ke sath hi hai ajal ki qaid lagi hui
hun sarir mein wo asir-e-gham jo qafas mein bhi tah-e-dam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close