jismon ki mehrab mein rahna padta hai ek musalsal khwab mein rahna padta hai apni gahrai bhi nap nahin sakte aur hamein payab mein rahna padta hai ruhon par mal kar duniya ke sannate aawazon ke bab mein rahna padta hai umda rahta hai jo teri aankhon mein aise bhi sailab mein rahna padta hai angdai lete hain mujh mein sat falak aafaqi girdab mein rahna padta hai janam nikal jate hain khud se milne mein ek safar nayab mein rahna padta hai