jitna tha jina ji liye mar jaana chahiye had ho gai to had se guzar jaana chahiye thahre hue hain kab se ye mehman ki tarah aankhon se aansuon ko bikhar jaana chahiye ye kya ki roz qisse mein tum sher hi bano yaro kabhi kabhaar to dar jaana chahiye us ki gali mein jaur-o-jafa aam hai bahut us ki gali mein yar magar jaana chahiye ab ke to marka hai bahut sakht zist ka ab ke to marke mein ye sar jaana chahiye chal to rahe hain log yahan qafile ke sath lekin pata nahin hai kidhar jaana chahiye yun to mushaeron se ye ji bhar gaya magar kahna 'obaid' ka hai 'qamar' jaana chahiye