jitne achchhe log hain wo mujhse wabasta rahe

jitne achchhe log hain wo mujh se wabasta rahe
mere sare bol un ke lab se paiwasta rahe

sab parinde la rahe hain aasmanon se khabar
mere ghar aangan mein aa kar kab wo par-basta rahe

wo tariq-e-khauf-o-dahshat par amal-paira sahi
main ye kahta hun ki qatl-o-khun bhi shaista rahe

bawajud-e-ham-nashini us se kuchh paya na faiz
dil bhi aazurda raha haalat bhi khasta rahe

kam se kam baqi rahe sab ke dilon mein rasm-o-rah
ye munasib hai gharon ke darmiyan rasta rahe

sarhad-e-imkan se aage thin yahi tarikiyan
kya zaruri hai andhera har jagah dasta rahe

umr-bhar karte rahe 'almas' milne se gurez
kijiye tahqiq kyun wo raaz sar-basta rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close