jo aai KHushbu kabhi tere pairahan ki tarah

jo aai khushbu kabhi tere pairahan ki tarah
gulab jalne lage hain mere badan ki tarah

ye tere naz-o-ada teri shokhi-o-shangi
hain dil-fareb bahut tere bankpan ki tarah

junun ko ras to aai sukunat-e-sahra
kahan wo lutf magar teri anjuman ki tarah

hain gul hazaron shagufta chaman chaman lekin
kahan wo nikhat-e-gul zakhm-e-jaan-o-tan ki tarah

bahaar chum ke aai hai teri zulf kahin
gulab mahke hain ab ke tere badan ki tarah

nahin hai tab-e-nazara isi liye shayad
wo rukh pe zulf saja lete hain gahan ki tarah

na chhu ke aai agar tere jism ki khushbu
saba hai mushk-bu kyun aahu-e-khutan ki tarah

na zikr-e-qais kahin hai na nisbat-e-farhad
badal gai hai mohabbat bhi fikr-o-fan ki tarah

kahan kahan ho rafu chaaragar se ab 'khawar'
jigar bhi chaak hua jae pairahan ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close