jo ahd-e-nau mein KHamir-e-bashar banaya jae

jo ahd-e-nau mein khamir-e-bashar banaya jae
sinan ko hath to neze ko sar banaya jae

shab-e-hayat ko aise sahar banaya jae
ek aaftab sar-e-chashm-e-tar banaya jae

mere hawas ko ye kaun hukm deta hai
ki us ko markaz-e-qalb-o-nazar banaya jae

main apne paikar-e-khaki se mutmain hi nahin
mere khuda mujhe bar-e-digar banaya jae

darun-e-zat kisi ka ye jabr hai mujh par
usi ko jaan usi ko jigar banaya jae

sukun-o-rahat-e-jaan ab kahin nahin mumkin
tumhaare dil ko hi ab mustaqar banaya jae

jo ham-nafas bhi ho hamraaz bhi ho hamdam bhi
usi ko kyon na bhala ham-safar banaya jae

bahut hi tang hain ye la-makan ke galiyare
so dasht-e-zat ko hi rahguzar banaya jae

agar banana hi lazim hai kuchh to ai 'khalid'
khud apni khak ko ab ke guhar banaya jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close