jo ashk bach gae unhen lata hun kaam mein

jo ashk bach gae unhen lata hun kaam mein
thodi si dhup roz milata hun sham mein

basti mein ek charagh ke jalne se raat bhar
kya kya khalal pada hai sitaron ke kaam mein

ek shakhs apni zat ki tamir chhod kar
masruf aaj-kal hai mere inhidam mein

mujh ko bhi is gali mein mohabbat kisi se thi
ab nam kya bataun rakha kya hai nam mein

'kashif' husain dasht mein jitne bhi din raha
baitha nahin ghubar mere ehtiram mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close