jo bhi kahna ho wahan meri zabani kahna log kuchh bhi kahen tum aag ko pani kahna aaj wo shakhs zamane mein hai yakta kah do jab koi dusra mil jae to sani kahna gham agar palkon pe tham jae to aansu kahiyo aur bah jae to maujon ki rawani kahna jitna ji chahe use aaj haqiqat kah lo kal use meri tarah tum bhi kahani kahna ab to dhundla gaya yaadon ka har ek naqsh 'shamim' phir wo de jae koi apni nishani kahna