jo bhi takht pe aa kar baitha us ko yazdan man liya aap bahut hi dida-war the mausam ko pahchan liya jab bhi thakan ne kat ke phenka dasht-gazida qadmon ko jalti ret pe khaal bichai dhup ka khema tan liya apni ana ka baghi dariya wasl se kya sarshaar hua us ka nishan bhi hath na aaya sara samundar chhan liya qismat ke bazar se bas ek chiz hi to le sakte the tum ne taj uthaya main ne 'ghaalib' ka diwan liya zat sifat se aari ho to kaisa taawun kharij ka aankh to thi na-bina nahaq suraj ka ehsan liya