jo biti hai jo bitegi sab afsane lage hum ko

jo biti hai jo bitegi sab afsane lage hum ko
use dekha to apne khwab hi sachche lage hum ko

unhen dekha to jaise par-shikasta koi tair ho
wo apni dar se bichhde thake haare lage hum ko

bahut naraaz the khud se kisi se kuchh nahin bole
wo ek kone mein yun baithe hue achchhe lage hum ko

samajhte hi na the samjhaya un ko rasta dil ka
kai naqshon ko phailaya kai ghante lage hum ko

wahi afsane duniya ke ab un se hum ko kya lena
kabhi ukta gae un se kabhi achchhe lage hum ko

zara hat kar jo apne-ap ko kuchh dur se dekha
to jin baaton pe itna roe the qisse lage hum ko

unhen duniya ka aisa moh socho to hansi aae
wo sattar sal ke honge magar bachche lage hum ko

bacha kar lae is tanhai ko hum bhid se 'mushaf'
phir ek rickshe mein baithe aur bade dhakke lage hum ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close