jo chand lamhon mein ban gaya tha wo silsila KHatm ho gaya hai

jo chand lamhon mein ban gaya tha wo silsila khatm ho gaya hai
ye tum ne kaisa yaqin dilaya mughaalta khatm ho gaya hai

zaban honton pe ja ke phiki hi laut aati hai kuchh dinon se
namak nahin hai tere labon mein ya zaiqa khatm ho gaya hai

guman ganw se main chala tha yaqin ki manzilon ki jaanib
magar tawahhum ke jangalon mein hi rasta khatm ho gaya hai

wo guftuguon ke narm chashme kahin faza mein hi jam gae hain
wo sare message wo shairi ka tabaadala khatm ho gaya hai

kal ek sadma pada tha hum par ke jis ne dil ko hila diya tha
chalo ke sine ka jaeza len ki zalzala khatm ho gaya hai

mere tasawwur mein itni wusat nahin ke tera badan samae
main tujh ko sochun to aisa lagta hai hafiza khatm ho gaya hai

main tujh ko pa kar hi mutmain hun ab aur koi talab nahin hai
jo aaj tak tha nasib se wo mutalba khatm ho gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close