jo chand sikkon ki chah mein kin wo hijraten kya shumar karna

jo chand sikkon ki chah mein kin wo hijraten kya shumar karna
safar mein apnon se duriyon ki aziyyaten kya shumar karna

jo mere dil ki ujad basti mein ek mausam thahar gaya hai
bala se aae bahaar ya phir khizan ruten kya shumar karna

jo raushni ka nagar kabhi tha wo aaj andheron mein gum hua hai
ujad andheri udas viran imaraten kya shumar karna

samet lenge hum apne daman mein apne hisse ki nafraton ko
na thin hamare nasib mein jo wo chahaten kya shumar karna

munafiqat ke gharaz ke rishton mein kyun wafa ko talashti ho
khulus-e-dil gar na ho to aisi qarabaten kya shumar karna

mohabbaton mein wo bhige lamhe wo guzre pal wo ruten jo bitin
kahin fazaon mein kho gain jo wo saaten kya shumar karna

bhula din hum ne jafaen sari sitam wo sare bhula diye hain
jo tum ho apne to ab tumhaari adawaten kya shumar karna

likhe the nam apne jin pe hum ne darakht sare wo kat chuke hain
mita diya waqt ne jinhen wo ibaraten kya shumar karna

rahin dilon mein na wusaten ab na fursaten ab na chahaten ab
na ab mayassar kabhi jo hongi wo sohbaten kya shumar karna

ye sim-o-zar ye harir-o-atlas ye jah-o-hashmat ye auj-o-sarwat
sukun-e-dil hi na de saken jo wo rahaten kya shumar karna

wo chahaten hain jo khun ban kar ragon mein dauran kar rahi hain
mohabbaton se bhara ho daman to nafraten kya shumar karna

teri raza pe jhuka ke sar ko jo zer-e-tegh-e-sitam kiya tha
wo ek sajda hai sab pe bhaari ibaadaten kya shumar karna

jo sham-e-bazm-e-sukhan kabhi the na koi ab un ko jaanta hai
dawam jin ko hua na hasil wo shohraten kya shumar karna

na jaane mahrumiyon ke kitne hi dagh dilbar saje hue hain
kabhi jo puri na ho sakengi wo hasraten kya shumar karna

ho raegan har safar to 'anjum' tamam raste hain ek jaise
na manzilen jab nasib mein hon masafaten kya shumar karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close