jo dagh hai ishq-e-dil-nashin ka jo dil-nashin hain dil-e-hazin ka wahi hai tamgha meri jabin ka wahi sulaiman mere nagin ka gai na mar kar bhi kina-khwahi mila ke mitti mein ki tabahi meri tarah se kahin ilahi falak bhi paiwand ho zamin ka tadap na puchho dil-e-hazin ki kahun main tum se kahan kahan ki usi se hai gardish aasman ki usi se hai zalzala zamin ka jahan sar par utha raha hun junun mein dhumen macha raha hun jo dasht mein khak uda raha hun dimagh gurdon pe hai zamin ka karam mein hum ko ghazab mein hum ko kiya jo mumtaz sab mein hum ko tumhaari dushnam-o-lab mein hum ko maza mila zahr-o-angbin ka ye laghari ab hai khar-e-daman ki uth nahin sakta bar-e-daman jo panw apna hai tar-e-daman to hath hai tar aastin ka miyan-e-mahshar malalaton se main shama hun dil ki haalaton se ki panw tak sau khijalaton se araq baha hai meri jabin ka sukhan ko 'qadr' auj de zaban se ki tukhm-e-afshan ho la-makan se kiya hai 'nasikh' ne aasman se buland-tar rutba is zamin ka