jo dahr ki nazar mein KHudawand-e-hosh hai

jo dahr ki nazar mein khudawand-e-hosh hai
is intiha-e-zulm pe wo bhi khamosh hai

sahra ki manzilon se pare hai wo lala-zar
parde mein jis ki rut ke koi mai-farosh hai

tahzib ustuwar ki khwahish ki rah mein
nam-e-digar hayat ka josh-o-kharosh hai

kal tu sunega zulm se mera mukalima
apna jahan aaj hi muhtaj-e-gosh hai

insan pukarta hai koi inqalab aae
patthar ki baat aur hai patthar khamosh hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close