jo dil mein khun-e-tamanna kiya na karte hum to misl-e-shola bhadak kar jala na karte hum agar na kashmakash-e-wahshat-e-junun hoti to chaak jaib-o-gareban kiya na karte hum agar na khatir-e-sayyaad par garan hote to yun tadap ke qafas se uda na karte hum umid naqsh pe aane ki tere gar hoti to apne jine ki hargiz dua na karte hum na hote tere taghaful ke hum agar kushte to zer-e-tegh kabhi dam liya na karte hum jo dagh-e-sina-e-ashiq na mashali hota to aaftab se nisbat diya na karte hum