jo dil nahin rakhta koi mushkil nahin rakhta

jo dil nahin rakhta koi mushkil nahin rakhta
mushkil nahin rakhta koi jo dil nahin rakhta

khinche liye jata hai kahin shauq-e-shahadat
dam lene ki tab ab dil-e-bismil nahin rakhta

hon reg ke manind shab-o-roz safar mein
aawara-e-wahshat koi manzil nahin rakhta

majbur hun kya zor chale josh-e-junun se
zanjir koi panw ke qabil nahin rakhta

kabe se ho ya der se manzil pe pahunch jaun
ek dhun hai tamiz-e-haq-o-baatil nahin rakhta

mai-khane ko dekhe koi in aankhon se ghafil
ek nur ka dariya hai ki sahil nahin rakhta

kausar bhi khinch aae to ye niyyat nahin bharti
dariya-e-hawas wo hai ki sahil nahin rakhta

aaya na koi khwab mein bhi mulk-e-adam se
afsos ki itni bhi kashish-e-dil nahin rakhta

laila ko bhala dekhega kin aankhon se majnun
jab taqat-e-nazzara-e-mahamil nahin rakhta

kyun 'yas' qafas mein bhi wahi zamzama-sanji
aisa to zamane mein koi dil nahin rakhta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close