jo gham mein jalte rahe umr-bhar diya ban kar bujha gai hai unhen maut ab hawa ban kar wo khamushi jo teri bazm ne hamein bakhshi khala-e-zehn mein gunji hai ek sada ban kar jo tu ne mujh ko gham-e-la-zawal bakhsha tha wo zindagi mein raha mera rahnuma ban kar wo jin ke lams se tu khil ke phul banta tha wo ab bhatakte hain dar par tere saba ban kar jab un ki bazm se laute to khud ko pahchana wahan se aae hum 'azad' kya se kya ban kar