jo ham-kalam ho humse usi ke hote hain

jo ham-kalam ho hum se usi ke hote hain
hum ek waqt mein ek aadmi ke hote hain

koi jahan mein khushi se guzarna chahe
to be-shumar bahane khushi ke hote hain

jamaliyat ke parche mein aath nau number
faqat shaguftagi-o-dil-kashi ke hote hain

kisi ke sath bhi baithe hue dikhai den
tasawwuraat mein hum aap hi ke hote hain

'shuur' sirf irade se kuchh nahin hota
amal hai shart irade sabhi ke hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close