jo is zamin se kabhi phir numu karunga main

jo is zamin se kabhi phir numu karunga main
to chehra chehra teri justuju karunga main

hun dard-mand tumhaara magar ye mat socho
jo tum kahoge wahi mu-ba-mu karunga main

meri wafa mein kuchh apni gharaz bhi shamil hai
so apne zakhm ko pahle rafu karunga main

jo mujh ko dekhega fauran pukar utthega
ki ikhtiyar tumhein hu-ba-hu karunga main

agar jahan mein koi aaina nahin tera
to phir tujhi ko tere ru-ba-ru karunga main

ye zindagi to sari-uzzawal hai 'najmi'
dil apna is ke liye kyun lahu karunga main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close