jo is zamir faroshi ke maherin mein hai

jo is zamir faroshi ke maherin mein hai
wo aadmi bhi suna hai muarrakhin mein hai

badha raha hai meri samt dosti ka hath
zarur baat koi us ki aastin mein hai

zamana bit gaya shahr-e-dushmani chhode
mera shumar abhi tak muhajirin mein hai

wo mujh se kahta hai phulon se ehtiyat karo
mera wo dost bhi mere munafiqin mein hai

main aasman ki baaton se khush nahin hota
mere khamir ki mitti isi zamin mein hai

hiran sa wahshi mohabbat ka dars deta hai
ye waqia hai kitab-e-sabuktagin mein hai

ghazal mein ahd-nigari ka husn bhi hai kamal
mera khayal yaqinan kisi hasin mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close