jo kuchh bhi mere pas thi daulat nigal gai meri ana ko teri mohabbat nigal gai taswir kah rahi thi musawwir ki dastan manzar-kashi ko aankh ki hairat nigal gai hisse mein mere aai hamesha shab-e-firaq har lamha-e-nashat ko zulmat nigal gai main ne jalai aag adu ke liye magar mera wajud aag ki hiddat nigal gai main bad nahin hun bas yunhi badnam ho gaya kirdar mera jehl ki tohmat nigal gai kal aaine mein khud ko main be-shakl kyun laga kya gardish-e-jahan meri surat nigal gai iman apne hathon mein mahfuz tha kahan jo bach gaya tha us ko bhi bidat nigal gai ghurbat ne mere shahr ka naqsha badal diya ghairat ko zinda rahne ki chahat nigal gai ab fann-e-shairi mein taghazzul kahan bacha yani ghazal ke husn ko jiddat nigal gai