jo mahtab mein hai waqt-e-shab jamal tera hai subh-dam wahi khurshed mein jalal tera saba mein hai jo latafat teri latafat hai jamal hai jo gulon mein hai wo jamal tera khinchi hui chali aati hai is mein ek duniya sama raha hai mere dil mein yun khayal tera fana se kaam tujhe kya ki jawedan tu hai nahin zawal se nadim kabhi kamal tera hai zarra zarra 'munawar' teri tajalli se kuchh ek mehr-e-mubin mein nahin jalal tera