jo meri aah se nikla dhuan hai meri mitti ka mere andar nihan aatish-fishan hai meri mitti ka diye hain taq par raushan magar zau mere andar hai jo kuchh kuchh tirgi hai wo saman hai meri mitti ka mere jalwon ki pamali na dekhi jaegi mujh se hunar kuchh is tarah se raegan hai meri mitti ka zarur us ki shabahat meri sochon se alag hogi tasawwur mein jo dekha hai guman hai meri mitti ka samundar aur dariya hain purane aashna mere barasta hai jo pani mehrban hai meri mitti ka mere ashaar mein aafaq-o-anfus ki kahani hai mera har lafz-e-shirin tarjuman hai meri mitti ka 'owaisi' qalb-o-jaan karte rahe sher-o-adab ko hum agarche ye bhi jins-e-raegan hai meri mitti ka