chaak daman bhi hua chaak-e-gareban ki tarah aankh barse hai shab-e-gham abr-e-baran ki tarah wae qismat chha gai khamoshi dil mein kis qadar bujh gaya hun main charagh-e-gor-e-viran ki tarah us gul-e-raana ki ulfat chhup nahin sakti kabhi ubhra hai dagh-e-wafa mehr-e-darakhshan ki tarah hai karamat ishq ki pahuncha main baam-e-arsh tak goya ek darwesh hun main ahl-e-irfan ki tarah in ke wade ne mujhe bakhsha hai zauq-e-zindagi khil gaya dil ghuncha-e-jashn-e-bahaaran ki tarah puchh mat mujh se hai kaisi lazzat-e-soz-e-darun jaan-gudazi hai meri sham-e-farozan ki tarah ghar nahin daulat nahin hurmat nahin satwat nahin hum bhi kya aawara hain gardun-e-gardan ki tarah mahfil-e-yaran nahin bazm-e-bahaaran bhi nahin hum jiye hain sakin-e-shahr-e-khamoshan ki tarah bekasi chashm-e-falak ne dam-ba-dam dekhi meri duniya mein aajiz kahan mujh khana-viran ki tarah afsar-e-khuban 'jalali' thahra hai jab se koi gulshan-e-dil zeba hai firdaus-e-rizwan ki tarah