jo na karna tha kiya jo kuchh na hona tha hua chaar din ki zindagi mein kya kahen kya kya hua ye samajh kar hum nahin kahte kisi se raaz-e-dil is taraf nikla zaban se us taraf charcha hua bhar ke thandi sans lin bimar ne jab karwaten wo kaleja tham kar kahne lage ye kya hua suniye suniye aatish-e-gham se hue hum jal ke khak kahiye kahiye ab kaleja aap ka thanda hua mere chehre se ayan hai dekh lo pahchan lo ye na puchho dil ka aalam dil ka naqsha kya hua