jo nazar kiya main sifat mein hua mujh pe kab ye ayan nahin

jo nazar kiya main sifat mein hua mujh pe kab ye ayan nahin
meri zat ain ki ain hai wahan dusri ka nishan nahin

wahi do jahan mein hai muftakhar jaise ainiyat ki hui khabar
wahi hukmaran hai jahan mein wahan kufr-o-din ka guman nahin

rahe ghairiyat ke hijab mein jo khuda-numa se nahin mile
jo khuda ko un se talab kiye rahi baat un pe nihan nahin

jise ho subut wajud ka wahi haq-shanas hai ba-khabar
unhen jumla aawe khuda nazar wo khuda ko dekhe kahan nahin

main watan mein aap safar kiya jo qadam ko apni nazar kiya
mila apna aap pata mujhe jahan ghairiyat ka bayan nahin

main to ek 'markaz'-e-dahr hun jo khuda-numa ke nishan se
jo bataun haq ka pata jise rahe baqi us ko guman nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close