jo puchha maine yan aana mera manzur rakhiyega

jo puchha main ne yan aana mera manzur rakhiyega
to sun kar yun kaha ye baat dil se dur rakhiyega

bahut roin ye aankhen aur padi din raat roti hain
ab in ko chashm bhi kijega ya nasur rakhiyega

jo parda bazm mein munh se uthate ho to ye kah do
ki phir yan shama ke jalne ka kya mazkur rakhiyega

diya dil hum ne tum ko aur to ab kya kahen lekin
ye virana tumhaara hai use mamur rakhiyega

'nazir' ab to dil-o-jaan se tumhaara ho chuka banda
miyan apne ghulamon mein use mashhur rakhiyega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close