jo sare ham-safar ek bar harz-e-jaan kar len to jis zamin pe qadam rakkhen aasman kar len ishaara karti hain maujen ki aaega tufan chalo hum apne iradon ko baadban kar len paron ko jod ke udne ka shauq hai jin ko unhen batao ki mahfuz aashiyan kar len jo qatl tu ne kiya tha bana ke mansuba tere sitam ko badhaen to dastan kar len dahakte shoalon pe chalne ka shauq hai jin ko ruton ki aag mein wo hausle jawan kar len ye un se kah do agar imtihan ki zid hai samundaron ki tarah dil ko be-karan kar len har ek bund ka lenge hisab hum 'alwi' hamare khun se dil ko wo shadman kar len