jo sarguzisht apni hum kahenge koi sunega to kya karenge

jo sarguzisht apni hum kahenge koi sunega to kya karenge
jo yaad aaengi teri baaten to chup hi pahron raha karenge

jo chaho kah lo yahi khushi hai to hum bhi phir kyun gila karenge
jo kuchh sunaegi apni qismat tumhaare munh se suna karenge

kise gharaz hai phir aap ko kyun sanam ka banda kaha karenge
jo yunhi hum ko bhulaenge wo to hum bhi yaad-e-khuda karenge

abas ye har-dam ka chaunkna hai abas ye uth uth ke dekhna hai
bhala wo aise hue the kis din wahi to wada wafa karenge

ilahi qasid abhi na aae ki ye tawaqqoa bhi hai ghanimat
kiya gar inkar saf us ne to dil ki taskin kya karenge

lo mil bhi jao na kuchh tumhaari khata thi us dam na kuchh hamari
jo ye hi dil ke muamle hain to yunhi jhagde raha karenge

hamein to dekho ye kya hua hai ki un ke kahne ka phir yaqin hai
wo jo jhut yunhi kaha karenge adu se yunhi mila karenge

sitam ki kije agar shikayat to kahte hain bas tumhein bhi dekha
yahan kuchh aisi gharaz hai kis ko kisi pe hum kyun jafa karenge

ye sach hai naseh! na hoga milna nahin hai achchha na hoga achchha
phir aap ko kya bura kahenge to apne haq mein bura karenge

'nizam' taqrir phir abas hai jawab kuchh us ka de sakoge
wo us ka har baat par ye kahna ki hum to apna kaha karenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close