jo shab ko manzar-e-shab tab mein tabdil karte hain

jo shab ko manzar-e-shab tab mein tabdil karte hain
wo lamhe nind ko bhi khwab mein tabdil karte hain

jo aansu dard ki gahraiyon mein dub jate hain
wahi aankhon ko bhi girdab mein tabdil karte hain

kisi jugnu ko hum jab raat ki zinat banate hain
zara si raushni mahtab mein tabdil karte hain

agar mil kar baras jaen yahi bikhre hue baadal
to phir sahraon ko sailab mein tabdil karte hain

jo mumkin ho to un bhule hue lamhat se bachna
jo aksar khun ko zahrab mein tabdil karte hain

yahi qatre banate hain kabhi to ghas par moti
kabhi shabnam ko ye simab mein tabdil karte hain

kahin dekhi nahin ai 'shad' hum ne aisi khush-haali
chalo is mulk ko punjab mein tabdil karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close