jo sitara TuT kar pamal hai ab KHak mein

jo sitara tut kar pamal hai ab khak mein
ye kabhi tabinda tha jab rahta tha aflak mein

main to mitti hi thi aur mitti hi rah jati magar
kuza-gar ke hath mein ya tha fusun kuchh chaak mein

waqia teri shararat ka koi yaad aa gaya
hans padi be-sakhta main lamha-e-namnak mein

kat do mere paron ko rok do meri udan
bikhre hain khwabon ke tukde is khas-o-khashak mein

shab ne rangat ke liye hi mah-o-akhtar ko 'ana'
dekhiye tanka hai kaise apni is poshak mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close