jo sunta hun kahunga main jo kahta hun sununga main hamesha majlis-e-nutq-o-samaat mein rahunga main nahin hai talkh-goi shewa-e-sanjidgan lekin mujhe wo galiyan denge to kya chup sadh lunga main kam-az-kam ghar to apna hai agar viran bhi hoga to dahliz o dar-o-diwar se baaten karunga main yahi ehsas kafi hai ki kya tha aur ab kya hun mujhe bilkul nahin tashwish aage kya banunga main meri aankhon ka sona chahe mitti mein bikhar jae andheri raat teri mang mein afshan bharunga main husul-e-agahi ke waqt kash itni khabar hoti ki ye wo aag hai jis aag mein zinda jalunga main koi ek aadh to hoga mujhe jo ras aa jae bisat-e-waqt par hain jis qadar mohre chalunga main agar is martaba bhi aarzu puri nahin hogi to is ke baad aakhir kis bharose par jiyunga main yahi hoga kisi din dub jaunga samundar mein tamannaon ki khali sipiyan kab tak chununga main