jo tamam umr ban kar mera hausla rahi hai

jo tamam umr ban kar mera hausla rahi hai
wahi aaj meri ghairat mujhe aazma rahi hai

meri fikr jaane mujh ko kahan le ke ja rahi hai
ki qadam qadam pe manzil sar-e-rah aa rahi hai

nahin chhodti hai mujh ko kisi mod par ye duniya
main ise rula raha hun ye mujhe rula rahi hai

tu ye jaanta hai phir bhi nahin fikr aakhirat ki
teri maut rafta rafta tere pas aa rahi hai

jo ab aa gae ho tum to mujhe chhod kar na jaana
ki tumhaare bin ye hasti badi be-maza rahi hai

meri zindagi ke malik main ye tujh se puchhta hun
mujhe kyon jahan mein bheja meri kya khata rahi hai

ye na ho ki waqt-e-akhir rahe dil ki baat dil mein
meri jaan ab to aa ja meri jaan ja rahi hai

jo tumhein mila hai mansab use daimi na samjho
kisi ek ki hukumat yahan kab sada rahi hai

mujhe ab ye lag raha hai wo khizan thi thik 'rahbar'
ye bahaar kaise kaise nae gul khila rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close