jo tere munh se na ho sharmsar aaina

jo tere munh se na ho sharmsar aaina
to rukh kare su-e-aina-dar aaina

kahe hai dekh ke rukhsar-e-yar aaina
ki is safai pe sadqe nisar aaina

siyah-ru na kare tark-e-ulfat-e-gulfam
main bul-hawas ko dikhaun hazar aaina

safa-e-dil ki kahan qadr-e-tira-rozi mein
charagh-e-subh hai shab-ha-e-tar aaina

samajh liya magar is sabz rang ko tuti
ki hai nazare ka ummid-war aaina

wo sakht-jaan hun ki dikhlaen gar dam-e-murdan
to tod de kamar-e-kohsar aaina

muqabil us rukh-e-raushan ke khul gai qali
na thahra aag pe simab-war aaina

sama rahe hain magar tere nau-ba-nau jalwe
ki ban gaya hai tilism-e-bahaar aaina

shikast-e-rang pe masti mein hanste hain hum bhi
dikhaenge unhen waqt-e-khumar aaina

mujhe to kahte ho mat dekh meri jaanib tu
aur aap dekhte ho bar bar aaina

bala hai man-e-wafa nur ud gaya naseh
tu le ke dekh to rang-e-azar aaina

samajh tu 'momin' agar narawa ho khud-bini
to dekhen kahe ko parhez-gar aaina


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close