jo tha har aan mubtala mera wo bhi samjha na majra mera hai mohabbat mein kuchh hawas pinhan tu na kariyo kabhi kaha mera tere nazdik rah ke bhi tujh se kam hi kam wasta raha mera sab se awwal hai baat gadhne mein hae zalim muashra mera itna viran tha main andar se mujh mein man hi nahin laga mera kash tu dhup ki sadak hoti aks phir tujh pe daudta mera mukhtalif hai khuda zamane ke jaane ho kaun sa khuda mera kaun 'afi' bune mujhe phir se hath aata nahin sira mera