jo tujhe aur mujhe ek kar saka nahin wo tera khuda nahin wo mera khuda nahin zindagi mili kabhi to gila karenge par zindagi mili nahin to gila kiya nahin main jo is dayar mein ab talak nahin mara kya mera koi aziz ab yahan bacha nahin jis ke ehtiram mein sar kata diya gaya us ko to khabar nahin us ko to pata nahin khud se dur ho gae chur chur ho gae rassi jal gai magar us ka bal gaya nahin zakhm ki nazakaton ko nahin samajh saka tu 'waqar'-khan hai jaun-elia nahin