jo ye har-su falak manzar khaDe hain

jo ye har-su falak manzar khade hain
na jaane kis ke pairon par khade hain

tula hai dhup barsane pe suraj
shajar bhi chhatriyan le kar khade hain

unhen namon se main pahchanta hun
mere dushman mere andar khade hain

kisi din chand nikla tha yahan se
ujale aaj tak chhat par khade hain

ujala sa hai kuchh kamre ke andar
zamin-o-asman bahar khade hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close